اردو हिंदी
Aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai | Shaahi Shayari
aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai

Ghazal

Aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai

Ehsan Danish

;

aankh mein aansu hain ehsas-e-masarrat dil mein hai
ek firdaus-e-nazara aap ki mahfil mein hai

har jafa teri munasib har sitam tera durust
ab wahi meri tamanna hai jo tere dil mein hai

jab ba-juz mahbub ho jati hai ojhal kaenat
ek maqam aisa bhi jazb-e-shauq ki manzil mein hai

fasl-e-gul mein be-tahasha hansne walo hoshiyar
iztirab-e-dil ka pahlu bhi sukun-e-dil mein hai

jis ko duri se huzuri mein siwa ho iztirab
wo pareshan-e-mohabbat kis qadar mushkil mein hai

dahr ke hangama-e-shaiKH-o-barahman se buland
aur bhi hangama ek girdab-e-nuh-e-dil mein hai

ab koi shayan-e-jalwa hai na shayan-e-kalam
tu usi manzil mein behtar hai ki jis manzil mein hai

na-saza hai is ke jalwon ki nazakat ke liye
wo gham-e-hasil jo tere ishq ke hasil mein hai

main to KHud uThne ko hun badlo na andaz-e-nazar
tum jo kahte hichkichate ho wo mere dil mein hai

apne markaz se sitaron par jo karta hun nazar
jis ko jis manzil mein chhoDa tha usi manzil mein hai

mom kar deti hai jo faulad-o-ahan ka jigar
wo bhi ek jhankar aawaz-e-shikast-e-dil mein hai

kaun hai 'ehsan' meri zindagi ka raazdar
kya kahun kis tarah marne ki tamanna dil mein hai