aankh lag jati hai phir bhi jagta rahta hun main
nind ke aalam mein kya kya sochta rahta hun main
tairti rahti hain mere KHun mein gham ki kirchiyan
kanch ki surat badan mein TuTta rahta hun main
sanp ke manind kyun Dasti hai bahar ki faza
kyun hisar-e-jism mein mahbus sa rahta hun main
phenkta rahta hai patthar kaun dil ki jhil mein
daera-dar-daera kyun phailta rahta hun main
Tahniyan kaT kaT ke ug aati hain phir se dard ki
ek sanobar karb ka ban kar hara rahta hun main
is se baDh kar aur kya hoti pareshani mujhe
ye sitam kam hai ki KHud se bhi juda rahta hun main
Ghazal
Aankh lag jati hai phir bhi jagta rahta hun main
Suraj Narayan