aankh ko ashk bana ke dekh
phir darshan ko ja ke dekh
manzil ki qimat mat puchh
rah mein dhakke kha ke dekh
patthar bhi khil uTThenge
ek nazar muska ke dekh
kaba kashi dekh liye
mere bhi ghar aa ke dekh
duniya meri muTThi mein
logon ko bahka ke dekh
andhiyaron ko jot bana
KHamoshi ko ga ke dekh
kab tak puja ghairon ki
KHud pe iman la ke dekh
Ghazal
Aankh ko ashk bana ke dekh
Aslam Habeeb