اردو हिंदी
Aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya | Shaahi Shayari
aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya

Ghazal

Aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya

Khalid Shirazi

;

aankh ki zid ko hamesha hi se bahlaya gaya
ek chehre ko kai chehron mein dikhlaya gaya

mere panw nit nae raston se the kab aashna
sadiyon pahle tha jahan mujh ko wahin paya gaya

phir hui bedar KHwahish aankh mein aai chamak
phir kisi ko dhup sa malbus pahnaya gaya

sunne walon ne to dekha bhi nahin tha chaunk kar
raaz sine se nikal ke honT par aaya gaya

is qadar tha sang-dil jaise kisi qatil ka dil
mujh se wo mahaul ai 'KHalid' na apnaya gaya