aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre
aqraba jitne the kashti ke wo sare utre
us se kahte ho ki phir lauTna hoga chhat par
sans ki lai ko jo thame hue zine utre
chha gai bachchon ke chehre pe nai hariyali
aaj phir peDon se aangan mein parinde utre
log sahil pe tamashai bane baiThe rahe
bich dariya mein faqat hum hi akele utre
chiKH nikli na koi aah-o-fughan ki main ne
yun to sine mein kai tir nukile utre
Ghazal
Aankh ki rah se bujhte hue lamhe utre
Hasan Nizami