aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna
aur phir ek Dubte suraj ka manzar dekhna
sham ho jae to din ka gham manane ke liye
ek shola sa munawwar apne andar dekhna
raushni mein apni shaKHsiyat pe jab bhi sochna
apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna
sang-e-manzil istiara sang-e-marqad ka na ho
apne zinda jism ko patthar bana kar dekhna
kaisi aahaT hai pas-e-diwar aaKHir kaun hai
aankh banta ja raha hai rauzan-e-dar dekhna
aisa lagta hai ki diwaron mein dar khul jaenge
saya-e-diwar ke KHamosh tewar dekhna
ek taraf uDte ababil ek taraf ashab-e-fil
ab ke apne kaba-e-jaan ka muqaddar dekhna
safha-e-qirtas hai ya zang-KHurda aaina
likh rahe hain aaj kya apne suKHan-war dekhna
Ghazal
Aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna
Himayat Ali Shayar