aankh khulne pe bhi hota hun usi KHwab mein gum
der tak rahta hun ek lazzat-e-nayab mein gum
soch hi soch mein tufan uTha deta hun
aur ho jata hun ek mauja-e-girdab mein gum
ek sitara jo chamakta hai lab-e-baam kahin
dekhte dekhte ho jata hai mahtab mein gum
bach rahe sans to jaana hai unhin galiyon mein
aur hona hai usi halqa-e-ahbab mein gum
aise nashshe se siwa aur nasha kya hota
aap ka KHwab jo ho jata mere KHwab mein gum
sajda-e-shauq ke mathon se nishan miTne lage
ho gai rasm-e-azan gumbad-o-mehrab mein gum
gum to hona tha ba-har-haal kisi manzar mein
dil hua KHwab mein gum aankh hui aab mein gum
Ghazal
Aankh khulne pe bhi hota hun usi KHwab mein gum
Akram Mahmud