aankh khuli to mujh ko ye idrak hua
KHwab-nagar ka har manzar saffak hua
jism o jaan ka sara qissa pak hua
KHaki tha main KHak mein mil kar KHak hua
mujh par shak karne se pahle dekh to le
mera daman kis jaanib se chaak hua
ek hi pal mein ja pahuncha duniya se par
Dubne wala sab se baDa tairak hua
TukDon TukDon banT raha hai chehre ko
TuT ke shisha aur bhi kuchh be-bak hua
raat ko main ne din karne ki Thani hai
meri zid par suraj bhi namnak hua
kaisi mohabbat kaisa talluq Dhong hai sab
man ke alawa har rishta napak hua
din mein nikalna chhoD diya us ne bhi
aaj ka jugnu bachchon se chaalak hua
Ghazal
Aankh khuli to mujhko ye idrak hua
Rashid Hamidi