aankh ke kunj mein ek dasht-e-tamanna le kar
ajnabi des ko nikle dil-e-tanha le kar
dekh to khol ke tarik makan ki khiDki
hum tere shahr mein aae hain ujala le kar
hum bhi pahunche the gulistan mein sukun ki KHatir
aa gae zehn mein tapta hua sahra le kar
ab nigahon ki jarahat ko liye sochte hain
kyun gae bazm mein hum zauq-e-tamasha le kar
kab se fariyaad-ba-lab aab-talab hai shirin
aaj farhad bhi nikla nahin tesha le kar
ru-siyah tere bane chashm-o-charag zindan
ghum ab shahr mein tu chehra-e-zeba le kar
is chaka-chaund mein ab mujh ko dikhai kya de
aa gae aap to ek nur ka dariya le kar
jab bhi haalat ke shoalon mein ghira hun 'betab'
aa hi pahuncha hai koi phul sa chehra le kar
Ghazal
Aankh ke kunj mein ek dasht-e-tamanna le kar
Saleem Betab