aankh ka manzar-nama banT liya jae
yani KHwab ka raqba banT liya jae
ek charagh ko mahram-e-raaz kiya jae
aur andhera kona banT liya jae
tere mere beach mizaj ka parda hai
kya kahte ho parda banT liya jae
baTwara maqdur hua to ghar hi kyun
behtar hoga rasta banT liya jae
yar kitaben mujh ko khae jati hain
sochta hun ab kamra banT liya jae

Ghazal
Aankh ka manzar-nama banT liya jae
Rahil Bukhari