اردو हिंदी
Aankh jo ishwa-e-pur-kar liye phirti hai | Shaahi Shayari
aankh jo ishwa-e-pur-kar liye phirti hai

Ghazal

Aankh jo ishwa-e-pur-kar liye phirti hai

Syed Hamid

;

aankh jo ishwa-e-pur-kar liye phirti hai
muzhda-e-tale-e-bedar liye phirti hai

nam se dad bhi milti hai suKHan ko aksar
charKH par shohrat-e-fankar liye phirti hai

KHak se phul nikalte hain mahakta hai chaman
kya zamin tabla-e-attar liye phirti hai

koi mahfil bhi nahin jo na ho taid-talab
dar-ba-dar jurat-e-inkar liye phirti hai

ban gai parda-nashin khinch ke palkon ke hisar
hum ko lekin nigah-e-yar liye phirti hai

phenk kar KHak mein aqdar ko tahqir ke sath
zindagi dirham-o-dinar liye phirti hai