aankh imkan se bhari hui thi
aur main KHwab mein Dari hui thi
zaKHm ginti thin ungliyan apne
koshish-e-aina-gari hui thi
hijr kya KHub kaifiyat laya
in dinon kitni shaeri hui thi
kya isi mein hi ishq pinhan tha
ek nigah wo bhi sarsari hui thi
kaisa mahsus ho raha tha tumhein
jab madine mein haziri hui thi
us ne aankhon mein baat ki mujh se
KHamushi honT par dhari hui thi
sabz titli thi 'rashida' mahin
nargisi phul par mari hui thi

Ghazal
Aankh imkan se bhari hui thi
Rasheeda Maheen Malik