اردو हिंदी
Aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi | Shaahi Shayari
aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi

Ghazal

Aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi

Sarfraz Khalid

;

aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi
tu nahin tere barabar bhi nahin tha koi

mere bahar to kisi maut ka sannaTa tha
aisi tanhai ki andar bhi nahin tha koi

kya tamasha hai ki phir jism mera bhig gaya
raste mein to samundar bhi nahin tha koi