aankh har shab ko andheron ki qaba dhoti hai
KHwab ki ret mein suraj ka shajar boti hai
ek gumnami ka jangal hun jahan shakl meri
apni pahchan ka har naqsh-e-yaqin khoti hai
dur an-dekhi si sarhad hai ki jis ke us par
koi basti hai jo raaton ko sada roti hai
sath-e-chadar pe shikan aur sar-e-baalin pe nasheb
ye to tanhai hai bistar pe mere soti hai
bhuli-bisri hui yaadon ki ajab bhiD hai jo
dil ke darwaze pe har sham lagi hoti hai
Ghazal
Aankh har shab ko andheron ki qaba dhoti hai
Rafat Shameem