aankh hai ek kaTora pani ka
aur ye hasil hai zindagani ka
raegan kar gaya mujhe aaKHir
KHauf aisa tha raegani ka
chal nikalta hai silsila aksar
KHush-gumani se bad-gumani ka
dard bota hun zaKHm khilte hain
hai bahut shauq bagh-bani ka
kya Thikana gham-o-KHushi ka ho
dil ilaqa hai la-makani ka
ja ke dariya mein phenk aaya hun
ye kya hai teri nishani ka
jis ka anjam hi nahin koi
main hun kirdar us kahani ka
muddaa nazm ho nahin paya
sher dhoka hai tarjumani ka
Ghazal
Aankh hai ek kaTora pani ka
Salman Sarwat