اردو हिंदी
Aankh hai aaina hai mashal hai | Shaahi Shayari
aankh hai aaina hai mashal hai

Ghazal

Aankh hai aaina hai mashal hai

Rahil Bukhari

;

aankh hai aaina hai mashal hai
koi taswir to mukammal hai

is jagah shahr hona chahiye tha
samne dekhiye to jangal hai

main bhi eDi pe ghum jaunga
aur ye be-kali bhi do-pal hai

bas mujhe darmiyan mein rakhna
aankh ojhal pahaD ojhal hai

ye to manzar pe munhasir hoga
muddaa dasht hai ki baadal hai