aankh chura kar nikal gae hushyari ki
samajh gae tum bhi mauqe ki bariki
dariya par safar ki jab tayyari ki
mausam ne har bar baDi ghaddari ki
ab lagta hai muD ke dekh to sakta tha
aaKHir had bhi hoti hai KHuddari ki
bar bar aakash ne ki aatish-bazi
raat manaya hum ne jashn-e-tariki
shayad sirf ujala kar ke bujh jae
shayad niyyat badal jae chingari ki
dhaDkan ko laghzish ki chhuT nahin bilkul
dil ne itni saKHt hidayat jari ki
Ghazal
Aankh chura kar nikal gae hushyari ki
Subodh Lal Saqi