aankh bhar aai kisi se jo mulaqat hui
KHushk mausam tha magar TuT ke barsat hui
din bhi Duba ki nahin ye mujhe malum nahin
jis jagah bujh gae aankhon ke diye raat hui
koi hasrat koi arman koi KHwahish hi na thi
aise aalam mein meri KHud se mulaqat hui
ho gaya apne paDosi ka paDosi dushman
aadamiyyat bhi yahan nazr-e-fasadat hui
isi honi ko to qismat ka likha kahte hain
jitne ka jahan mauqa tha wahin mat hui
is tarah guzra hai bachpan ki khilaune na mile
aur jawani mein buDhape se mulaqat hui
Ghazal
Aankh bhar aai kisi se jo mulaqat hui
Manzar Bhopali