aankh be-qabu hai duniya ki tarah
dil hai pahlu mein tamanna ki tarah
koi aawaz koi gunj nahin
waqt chup-chap hai sahra ki tarah
tu hai ek phailti baDhti KHushbu
main hun ek shoala-e-tanha ki tarah
tu meri rah mein kyun hail hai
ek umDe hue dariya ki tarah
mujh ko malum nahin tha ai dost
tu bhi begana hai duniya ki tarah
dur ufuq-par hai shab pichhle-pahar
koi ubhra ruKH-e-zeba ki tarah
shahr mein chandni ban kar utra
chha gaya nashsha-e-sahba ki tarah
bas tere rang-e-haya ki manind
hu-ba-hu tere sarapa ki tarah
ab kahan paunga main naqsh-e-'jamil'
DhunDhta phirta hun dariya ki tarah
Ghazal
Aankh be-qabu hai duniya ki tarah
Jameel Yusuf