aankh be-KHwab hui hai kaisi
ye hawa ab ke chali hai kaisi
tu meri yaad mein rota to nahin
ye hawaon mein nami hai kaisi
saya hai aur kashida kitna
dhup hai aur kaDi hai kaisi
kaisa soya hai muqaddar apna
aur zamin ghum rahi hai kaisi
rasm-e-duniya hai jise jaana hai
hum pe uftad paDi hai kaisi
gung hain zinda-dilan-e-lahore
rasm-e-pursish bhi uThi hai kaisi
Ghazal
Aankh be-KHwab hui hai kaisi
Asif Jamal