اردو हिंदी
Aani jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi | Shaahi Shayari
aani jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi

Ghazal

Aani jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi

Nida Fazli

;

aani jaani har mohabbat hai chalo yun hi sahi
jab talak hai KHub-surat hai chalo yun hi sahi

hum kahan ke dewta hain bewafa wo hain to kya
ghar mein koi ghar ki zinat hai chalo yun hi sahi

wo nahin to koi to hoga kahin us ki tarah
jism mein jab tak hararat hai chalo yun hi sahi

maile ho jate hain rishte bhi libason ki tarah
dosti har din ki mehnat hai chalo yun hi sahi

bhul thi apni farishta aadmi mein DhunDna
aadmi mein aadamiyyat hai chalo yun hi sahi

jaisi honi chahiye thi waisi to duniya nahin
duniya-dari bhi zarurat hai chalo yun hi sahi