aangan mein chhoD aae the jo ghaar dekh len
kis haal mein hai in dinon ghar-bar dekh len
jab aa gae hain shahr-e-tilismat ke qarib
kya chahti hai nargis-e-bimar dekh len
hansna-hansana chhuTe hue muddaten huin
bas thoDi dur rah gai diwar dekh len
arse se is dayar ki koi KHabar nahin
mohlat mile to aaj ka aKHbar dekh len
mushkil hai tera sath nibhana tamam umr
bikna hai na-guzir to bazar dekh len
aashuftagi hamari yahan lai bar bar
hai kya zarur tujh ko bhi har bar dekh len
Ghazal
Aangan mein chhoD aae the jo ghaar dekh len
Aashufta Changezi