aane wala inqalab aaya nahin
kya koi ahl-e-kitab aaya nahin
ism-e-azam bhi paDha hai bar bar
ghaar se lekin jawab aaya nahin
ho raha hai kuchh na kuchh zer-e-zamin
konplen phuTin gulab aaya nahin
raat bhar phir hijr ka mausam raha
jis ko aana tha wo KHwab aaya nahin
KHushk-lab lauTe hain kyun sahra-naward
raste mein kya sarab aaya nahin
mujh ko ek chashmak thi sail-e-ashk se
is liye main zer-e-ab aaya nahin

Ghazal
Aane wala inqalab aaya nahin
Prem Kumar Nazar