aane mein tere dost bahut der ho gai
bazm-e-hayat ab zabar-o-zer ho gai
parde kuchh aise ru-ba-ru aankhon ke aa gae
duniya meri nigah mein andher ho gai
duniya ke jabr-o-jaur se kyunkar aman mile
main chup raha to aur bhi wo sher ho gai
kya puchhte hain ab dil-e-mahzun ka haal aap
us ko mare hue to bahut der ho gai
har chand zindagi ne sambhaale liye bahut
phir bhi ajal ke hath se wo zer ho gai
'sarshaar' zikr-e-raunaq-e-bagh-e-jahan na kar
ukta gaya dil is se nazar ser ho gai
Ghazal
Aane mein tere dost bahut der ho gai
Jaimini Sarshar