aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahin hum aur kahin
ab ahd-e-wafa TuTa ki raha tum aur kahin hum aur kahin
be-ap KHushi se ek idhar kuchh khoya hua sa ek udhar
zahir mein baham baatin mein juda tum aur kahin hum aur kahin
aae to KHushamad se aae baiThe to murawwat se baiThe
milna hi ye kya jab dil na mila tum aur kahin hum aur kahin
wada bhi kiya to ki na wafa aata hai tumhein charkon mein maza
chhoDo bhi ye zid lutf is mein hai kya tum aur kahin hum aur kahin
bargashta-nasib ka yun hona sona bhi to ek karwaT sona
kab tak ye judai ka rona tum aur kahin hum aur kahin
dil milne pe bhi pahlu na mila dushman to baghal hi mein hai chhupa
qatil hai mohabbat ki ye haya tum aur kahin hum aur kahin
yaksui-e-dil marghub hamein barbaadi-e-dil matlub tumhein
is zid ka hai aur anjam hi kya tum aur kahin hum aur kahin
dil se hai agar qaem rishta to dur-o-qarib ki bahs hi kya
hai ye bhi nigahon ka dhoka tum aur kahin hum aur kahin
sun rakkho qabl-e-ahd-e-wafa qaul aarzu-e-shaidai ka
jannat bhi hai dozaKH gar ye hua tum aur kahin hum aur kahin
Ghazal
Aane mein jhijhak milne mein haya tum aur kahin hum aur kahin
Arzoo Lakhnavi