اردو हिंदी
Aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se | Shaahi Shayari
aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se

Ghazal

Aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se

Irshad Husain Kazmi

;

aane lagi hai zahr ki KHushbu shumal se
jhalkega rang KHun ka asr-e-zawal se

hain darj aane wali ruton ke hisab mein
patte jhaDe hue shajar-e-mah-o-mal se

KHwahish ke karobar ki rasmen badal gain
milte hain phul baDh ke KHud apne maal se

gul-dan mein saji hui kaliyon ko kya KHabar
kya puchhti hai baad-e-saba Dal Dal se

zahir hain pairahan ki sapedi se tin rang
KHushbu ki aabshaar-e-rawan sabz shaal se

pardon ki sarsarahaTen bundon ke ral-taral
khulta hai dar hawa-e-shab-e-barshgal se

tu hi hujum-e-shahr mein pahchan le mujhe
main aashna nahin hun tere KHadd-o-KHal se

ab tak harif-e-sang samajhta tha main use
ye aaina to TuT gaya dekh bhaal se

andhon ki anjuman mein jalate ho mishalen
irshad kuchh na paoge kasb-e-kamal se