aane ko nazar mein meri sau fitna-gar aae
tujh sa nazar aaya hai na tujh sa nazar aae
khul jae bharam zabt-e-mohabbat ka na un par
Darta hun kahin aankh mein aansu na bhar aae
mai-KHane pe kya abr hai chhaya hua ya-rab
jalwe teri rahmat ke yahan bhi nazar aae
karta hun duaen to ye aati hain nidaen
tu ho kisi qabil to dua mein asar aae
karta hai wahi dil mein 'rasa' ke jo Thani hai
samjhane ko samjhate hain sab apne parae

Ghazal
Aane ko nazar mein meri sau fitna-gar aae
Rasa Rampuri