اردو हिंदी
Aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae | Shaahi Shayari
aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae

Ghazal

Aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae

Aabida Urooj

;

aandhiyan gham ki chalin aur karb-baadal chha gae
tujh se kaise ho milan sab raste dhundla gae

kirchi kirchi KHwahishen aankhon mein chubh kar rah gain
zard mausam aas ki hariyaliyon ko kha gae

main ki jis ne har saubat muskura kar jhel li
manzilen aain to kyun aankhon mein aansu aa gae

tere na aane ke dukh mein shiddaten phulon ne kin
waqt se pahle hi sab gajre mere murjha gae

qaht jazbon ka paDa viran se hain dil ke nagar
shahr par aaseb shayad hijr ke manDla gae

dawa chahat ka nahin par jab use socha 'uruj'
phul KHushbu rang tare aankh mein lahra gae