aandhiyan aati hain aur peD gira karte hain
hadse ye to yahan roz hua karte hain
un ke dil mein bhi koi khoj to pinhan hogi
ye parinde jo hawaon mein uDa karte hain
KHun ka rang liye garm dhuen ke baadal
sard aKHbar ke sine se uTha karte hain
in andheron mein koi rah to raushan hoti
ye sitare to har ek raat jala karte hain
haar ke zaKHm kabhi jit ki lazzat bhi kabhi
hum tasawwur mein kai khel racha karte hain
jin ke chehron pe koi dhup na saya koi
un makanon mein ajab log raha karte hain
din ke sahra mein jise DhunD na paen 'fikri'
shab ke jangal mein wo aawaz suna karte hain
Ghazal
Aandhiyan aati hain aur peD gira karte hain
Parkash Fikri