aandhi mein bisat ulaT gai hai
ghanghor ghaTa bhi chhaT gai hai
wo gard uDai hai dukhon ne
diwar-e-hayat aT gai hai
KHanjar ki tarah thi reg-e-sahra
KHeme ki tanab kaT gai hai
miras-e-gulab thi jo KHushbu
jhonkon mein hawa ke baT gai hai
pyason ka hujum rah gaya hai
ek tir se mushk phaT gai hai
ek aur bhi din guzar gaya hai
miad-e-azab ghaT gai hai
sahil ki baDha ke tishnagi mauj
dariya ki taraf palaT gai hai
phailaunga panw kya main 'gulzar'
chadar hi meri simaT gai hai
Ghazal
Aandhi mein bisat ulaT gai hai
Gulzar Bukhari