اردو हिंदी
Aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath | Shaahi Shayari
aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath

Ghazal

Aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath

Ghausiya Khan Sabeen

;

aandhi mein bhi charagh magan hai saba ke sath
lagta he saz-baz hui hai hawa ke sath

lab par KHuda ka nam ho dil mein watan ka dard
nikle badan se ruh meri is ada ke sath

un ko bahut ghurur tha apni jafaon par
hum bhi wahin aDe rahe apni wafa ke sath

nazren jhuka ke samne mere khaDa hai wo
sharmindagi ki apne badan par qaba ke sath

har shaKHs rashk karta hai phir aisi zat par
mar kar bhi jis ke rabt ho qaem KHuda ke sath

aaghaz bhi usi ki ziyarat ke sath ho
ho bhi safar tamam to man ki dua ke sath

ehsan tha ya hukm ki tamil thi 'sabin'
hum bi qadam qadam chale us ki raza ke sath