aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae
jis tarah bhi ho laj junun ki bachai jae
be-ab o be-giyah hai ye dil ka dasht bhi
ek nahr aansuon ki yahan bhi bahai jae
aajiz hain apne tala-e-bedar se bahut
har raat hum ko koi kahani sunai jae
sab kuchh badal gaya hai magar log hain ba-zid
mahtab hi mein surat-e-jaanan dikhai jae
kuchh sagharon mein zahr hai kuchh mein sharab hai
ye masala hai tishnagi kis se bujhai jae
shahron ki sarhadon pe hai sahraon ka hujum
kya majra hai aao KHabar to lagai jae
nazil ho jism o ruh pe jab be-hisi ka qahr
us waqt dosto ye ghazal gungunai jae
Ghazal
Aandhi ki zad mein sham-e-tamanna jalai jae
Shahryar