aandhi ka kar KHayal na tewar hawa ke dekh
diwar ret ki sahi unchi uTha ke dekh
saya hun dhup hun ki sarabon ka rup hun
main kya hun kaun hun mere nazdik aa ke dekh
apni hi zat mein tu samundar hua to kya
mere lahu mein kholta suraj bujha ke dekh
ek roz tu libas samajh kar mujhe pahan
kuchh der hi sahi mujhe apna bana ke dekh
main kanch ke makan mein rahta hun in dinon
aa ai sada-e-sang mujhe aazma ke dekh
shayad kisi chaTan se jharna ubal paDe
patthar ke dil pe mom ka tesha jala ke dekh
aata hai kaun kaun tere gham ko banTne
'zahid' tu apni maut ki afwah uDa ke dekh
Ghazal
Aandhi ka kar KHayal na tewar hawa ke dekh
Sabir Zahid