aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahin mila
dil jis se mil gaya wo dobara nahin mila
hum anjuman mein sab ki taraf dekhte rahe
apni tarah se koi akela nahin mila
aawaz ko to kaun samajhta ki dur dur
KHamoshiyon ka dard-shanasa nahin mila
qadmon ko shauq-e-abla-pae to mil gaya
lekin ba-zarf-e-wusat-e-sahra nahin mila
kanan mein bhi nasib hui KHud-daridgi
chaak-e-qaba ko dast-e-zuleKHa nahin mila
mehr o wafa ke dasht-nawardo jawab do
tum ko bhi wo ghazal mila ya nahin mila
kachche ghaDe ne jit li naddi chaDhi hui
mazbut kashtiyon ko kinara nahin mila
Ghazal
Aandhi chali to naqsh-e-kaf-e-pa nahin mila
Mustafa Zaidi