aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen
chha jati hain ehsas pe billor si aankhen
rahti hai shab-o-roz mein barish si teri yaad
KHwabon mein utar jati hain ghanghor si aankhen
paimane se paimane talak baada-e-lalin
aaghaz se anjam talak daur si aankhen
le kar kahan rahti rahi moti si wo surat
le kar kahan phirta raha mein gor si aankhen
waqt aane pe aai na nazar gardish-e-aflak
baiTha raha le kar main kisi aur si aankhen
tabdili tere dekhte rahne se ye aai
bin baiThin tasalsul se tere tur si aankhen
bil-farz nikal jaun kisi andhe safar par
bandhe hue rakhti hain mujhe Dor si aankhen
har bar kinare se laga kar chali jaen
dhundlahaTon mein ghamza-e-filfaur si aankhen
kya jaane 'nawed' aur hi kar jaen ujala
qirtas-e-farozan pe teri kor si aankhen
Ghazal
Aanchal mein nazar aati hain kuchh aur si aankhen
Afzal Naved