aanchal jo Dhalakta hai un ka kabhi shanon se
pael ki sada aa kar Takraati hai kanon se
apni hi halakat ka bais hue jate hain
jo tir nikalte hain aaj apni kamanon se
hum ne rah-e-ulfat mein aa kar yahi sikha hai
manzil ka pata lena qadmon ke nishanon se
ek bar bhi jo sunna hum ko na gawara tha
sau bar suna hum ne duniya ki zabanon se
jis ne kabhi duniya ki parwa hi nahin ki thi
wo 'naz' se milta hai ab lakh bahanon se
Ghazal
Aanchal jo Dhalakta hai un ka kabhi shanon se
Naz Layalpuri