اردو हिंदी
Aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil | Shaahi Shayari
aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil

Ghazal

Aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil

Riaz Majeed

;

aanch aaegi na andar ki zaban tak ai dil
kitni der aur meri jaan kahan tak ai dil

had ziyaada se ziyaada ki koi to hogi
aur is hirs ka phailaw kahan tak ai dil

tajraba tajraba aazad rag-o-pai mein raha
kitni afsurdagi hai dahr se jaan tak ai dil

mahak uD jaegi tafhim ke lab khulne se
sahar iblagh ka hai zabt-e-bayan tak ai dil

aks o aaine ki surat hai hamara rishta
hun tere sath tu mera hai jahan tak ai dil

hairat-asar ajab KHwab liye baiTha hun
shayad aa jae koi meri dukan tak ai dil

shor se ahl-e-KHabar ke hai 'riyaz' aazurda
koi le jae use be-KHabran tak ai dil