aana jaana hai to qamat se tum aao jao
dar-e-izhaar-e-murawwat se tum aao jao
wo tahayyur jo tumhein le ke yahan aaya tha
us tahayyur ki wisatat se tum aao jao
hum kisi samt bagulon ko nahin rokte hain
garmi-e-zuaq shararat se tum aao jao
kaf uDane pe bhi pabandi nahin hai koi
han magar thoDi nafasat se tum aao jao
hamein ummid-e-balaghat to nahin hai tum se
bas zara thoDi bulughat se tum aao jao
kis ne roka hai sar-e-rah-e-mohabbat tum ko
tumhein nafrat hai to nafrat se tum aao jao
tum ki tiflan-e-adab sath lagae hue ho
kisi manqul shariat se tum aao jao
hum ne ashaar ka darwaza khula rakkha hai
jab bhi ji chahe sahulat se tum aao jao
Ghazal
Aana jaana hai to qamat se tum aao jao
Rafi Raza