aan rakhta hai ajab yar ka laD kar chalna
har qadam naz ke ghusse mein akaD kar chalna
jitne ban ban ke nikalte hain sanam nam-e-KHuda
sab mein bhata hai mujhe us ka bigaD kar chalna
na-tawani ka bhala ho jo hua mujh ko nasib
us ki diwar ki inTon ko ragaD kar chalna
us ki kakul hai buri man kaha ai afi
dekhiyo us se tu kandha na ragaD kar chalna
chalte chalte na KHalish kar falak-e-dun se 'nazir'
faeda kya hai kamine se jhagaD kar chalna
Ghazal
Aan rakhta hai ajab yar ka laD kar chalna
Nazeer Akbarabadi