اردو हिंदी
Aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum | Shaahi Shayari
aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum

Ghazal

Aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum

Meer Hasan

;

aan kar gham-kada-e-dahr mein jo baiThe hum
shama san apne tain aap hi ro baiThe hum

ishq ke hath se kashti-e-shikasta ki tarah
aap apne tain ro ro ke Dubo baiThe hum

gar yahi tere ishaare hain to majlis se teri
kui na kui aa ke uTha dewega go baiThe hum

tum jo uThne ko hue the to chale the hum bhi
ab jo yun aap ki marzi hai to lo baiThe hum

sina KHali nahin hota hai na thamte hain ashk
kab se rote hain dil-e-KHun-shuda ko baiThe hum

ghair kahte hain ki hum baiThne dewenge na yan
ab to is zid se jo kuchh howe so ho baiThe hum

ashk aaankhon se to madum hue the kad ke
hath ab girya-e-KHuni se bhi dho baiThe hum

aur to kuchh nahin yan itna KHafa hote ho kyun
kya hua aap ke nazdik jo ho baiThe hum

aarzu dil ki bar aai na 'hasan' wasl mein aur
lazzat-e-hijr ko bhi muft mein kho baiThe hum