اردو हिंदी
Aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai | Shaahi Shayari
aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai

Ghazal

Aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai

Muneer Shikohabadi

;

aamad tasawwur-e-but-e-bedad-gar ki hai
dil ki bhi luT KHana-KHarabi jigar ki hai

taqdir ki kaji ho ki TeDha ho aasman
ye sab inayat aap ki tirchhi nazar ki hai

ek bar tir mar ke ab tak KHabar na li
yarab nigah-e-mast ye kis be-KHabar ki hai

ye rang-o-bu kahan gul-e-tar ko nasib tha
utri hui qaba kisi rashk-e-qamar ki hai

phir bhi kabhi nigah-e-karam hogi is taraf
ummid aaj tak usi pahli nazar ki hai