aamaj-gah-e-tir-e-sitam kaun hum ki aap
phir puchhte hain aap se hum kaun hum ki aap
dil husn par nisar to kar dun baja durust
jhelega is ke baad sitam kaun hum ki aap
duniya se uTh chuka tha mohabbat ka e'tibar
qaem kiye hue hai bharam kaun hum ki aap
donon ne ittihad ki koshish zarur ki
lekin raha nibah mein kam kaun hum ki aap
roz-e-jaza jo dad-talab honge dad-KHwah
us din karega uzr-e-sitam kaun hum ki aap
tufan-e-ashk-e-'nuh' ka rukna muhaal hai
anjam de ye kar-e-aham kaun hum ki aap
Ghazal
Aamaj-gah-e-tir-e-sitam kaun hum ki aap
Nooh Narvi