aam raste se haT ke aaya hun
sari duniya se kaT ke aaya hun
meri wusat tujhe Dara deti
apne andar simaT ke aaya hun
koi taza sitam ki main pichhle
hadson se nimaT ke aaya hun
han mohabbat to mar deti hai
ye kahani main raT ke aaya hun
meri haalat se map raste ko
main kahan se palaT ke aaya hun
rah-e-gham ab Dara nahin sakti
gham se hi to lipaT ke aaya hun
us ki shaKHon pe phal nahin lagta
jis shajar se main kaT ke aaya hun
koi surat nahin hai juDne ki
itne TukDon mein baT ke aaya hun
Ghazal
Aam raste se haT ke aaya hun
Aurangzeb