اردو हिंदी
Aam hukm-e-sharab karta hun | Shaahi Shayari
aam hukm-e-sharab karta hun

Ghazal

Aam hukm-e-sharab karta hun

Mir Taqi Mir

;

aam hukm-e-sharab karta hun
mohtasib ko kabab karta hun

Tuk to rah ai bina-e-hasti tu
tujh ko kaisa KHarab karta hun

bahas karta hun ho ke abjad-KHwan
kis qadar be-hisab karta hun

koi bujhti hai ye bhaDak mein abas
tishnagi par itab karta hun

sar talak aab-e-tegh mein hun gharq
ab tain aab aab karta hun

ji mein phirta hai 'mir' wo mere
jagta hun ki KHwab karta hun