aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat
ab sar-e-rah bhi hoti hai sar-e-dar ki baat
hum jo karte hain kahin misr ke bazar ki baat
log pa lete hain yusuf ke KHaridar ki baat
muddaton lab pe rahi nargis-e-bimar ki baat
kijiye ahl-e-chaman ab KHalish-e-KHar ki baat
ghunche dil-tang hawa band nasheman viran
bais-e-marg hai mere liye gham-KHwar ki baat
bu-e-gul le ke saba kunj-e-qafas tak pahunchi
lakh pardon mein bhi phaili shab-e-gulzar ki baat
zindagi dard mein Dubi hui lai hai 'rahi'
aise aalam mein kise yaad rahe pyar ki baat
Ghazal
Aam hai kucha-o-bazar mein sarkar ki baat
Ahmad Rahi