اردو हिंदी
Aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga | Shaahi Shayari
aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga

Ghazal

Aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

;

aaluda-e-isyan KHud ki hai dil wo man-e-isyan kya hoga
jo apni hifazat kar na saka wo mera nigahban kya hoga

zauq-e-dil-e-shahan paida kar taj-e-sar-e-shahan kya hoga
jo luT na sake wo saman kar luT jae jo saman kya hoga

gham-KHana sanam-KHana aiwan ya KHana-e-viran kya hoga
qissa hai dil-e-diwana ka hairan hun ki unwan kya hoga

jo sair-e-chaman ko aata hai wo talib-e-gul hi hota hai
puchhe koi un na-danon se KHar-e-chamanistan kya hoga

kuchh shikwa nahin itna sun le ai mast-e-sitam nawak-afgan
dil hi na rahega jab mera phir tera ye paikan kya hoga

ai hansne hansane wale ja afsurdagi-e-dil baDhti hai
jis ko ho azal se nisbat-e-gham hansne se wo KHandan kya hoga

aaj apni 'nazar' se wo dekhen ye silsila-e-tufan aa kar
kal kahte the jo hairan ho kar sahil pe bhi tufan kya hoga