'ali' jis ka fann-e-suKHan mein ek andaz nirala tha
naqd-e-suKHan mein zikr ye aaya dohe paDhne wala tha
jaane kyun logon ki nazren tujh tak pahunchen hum ne to
barson baad ghazal ki rau mein ek mazmun nikala tha
kya wo ghaTa tere ghar se uTThi kya wo tu ne bheji thi
bunden raushan raushan thin aur baadal kala kala tha
ajnabiyon se dhoke khana phir bhi samajh mein aata hai
is ke liye kya kahte ho wo shaKHs to dekha-bhaala tha
hum na mile aur jab bhi mile to donon ne iqrar kiya
han wo wada aisa tha jo pura hone wala tha
tapti dhupon mein bhi aa kar apni yaad dilate hain
chand-nagar ke 'insha'-sahib aale jin ka haala tha
Ghazal
Aali jis ka fann-e-suKHan mein ek andaz nirala tha
Jameeluddin Aali