aalam teri nigah se hai sarshaar dekhna
meri taraf bhi Tuk to bhala yar dekhna
nadan se ek umr raha mujh ko rabt-e-ishq
dana se ab paDa hai sarokar dekhna
gardish se teri chashm ke muddat se hun KHarab
tis par kare hai mujh se ye iqrar dekhna
naseh abas kare hai mana mujh ko ishq se
aa jae wo nazar to phir inkar dekhna
'chanda' ko tum se chashm ye hai ya ali ki ho
KHak-e-najaf ko surma-e-absar dekhna
Ghazal
Aalam teri nigah se hai sarshaar dekhna
Mah Laqa Chanda