aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai 
har husn muqabil mein kuchh kam nazar aata hai 
chamka hai muqaddar kya is tira-nasibi ka 
suraj bhi shab-e-gham ka parcham nazar aata hai 
hai teri tamanna ka bas ek bharam qaem 
ab warna mere dil mein kya dam nazar aata hai 
tanha nahin rah pata sahra mein bhi diwana 
jab KHak uData hai aalam nazar aata hai 
ai 'zeb' mujhe teri taKHil ki maujon mein 
hushyari o masti ka sangam nazar aata hai
        Ghazal
Aalam se fuzun tera aalam nazar aata hai
Zeb Ghauri

