aalam mein na kuchh kasrat-e-anwar ko dekhen
parde mein nazar-baz ruKH-e-yar ko dekhen
hairat se mere dekhne ko dekhte hain kya
dekhen to wo apne lab o ruKHsar ko dekhen
rahne den mujhe garm-e-fughan kuche mein apne
apni bhi wo kuchh garmi-e-bazar ko dekhen
wo us se ziyaada hai to ye us se ziyaada
guftar sunen us ki ki raftar ko dekhen
hain zulf o ruKH ai shoKH tere qatil-e-alam
kafir hi ko dekhen na ye din-dar ko dekhen
Ghazal
Aalam mein na kuchh kasrat-e-anwar ko dekhen
Raunaq Tonkvi